trade lene se pahle trade plan, trade ki psychology risk management ye sab dhyan me rakhna hai
ye sab to aapko har jagh dekhne sunne me aa jaygi par aaj aap hamare blog me aaye ho to kuchh naya sikhne ko milega to fir aaiyye blog me aage badhate hai,
To dosto mere pyare tradaro chaliye pelte hain gyan ki baate
Disclaimer :- yah bate precticaly hai to aap sabhi samjhdari se yah bato ka dhyan rakhe or follow kare !
1 - ek trader jo ki itna stress 😬 leta hai shayad hi koi leta ho
To sabse pahle ek trader ka dimaag trade lene se pahle Khali ho agar aap morning trader hai yaane ki aap 9:15 se 12 baje tak trade khatm kar dete hai to aap ek morning trader hai agr hain to apko breakfast 🥞 🍎 🍊 🍌 fruit 🍓 ka Sevan karna chahiye juice 🧃 Pina chahiye or bohot hi halka nashta kare or yah sab market opening ke 20 minute pahle kare !
2 - To dosto ab aage badhate hai , ab baat karte hai nind ki dosto ek trader ko 7,8 ghante ki nind lena bohot zaruri hai yah baat aap sabhi jante hai par follow koi nahi karta isliye aapko nind ko lekar no compromise, aur ab dosto apko hamesha trade lene ke baad positive sochna hai or iske liye aapko saath me pine ke liye paani sath me rakhna hoga, !
3 - dosto apko pata hi hoga ki aap kis typ ke music yaa songs sunte ho aapka mood waisa hi hota hai isliye aap waise hi songs sunte ho to mere dosto aapko , trade karte samay wa market watch karte samay music Sunni hai dhyan rahe music Naa ki songs jaise ki meditation music, study music, aur bhi bohot saare relaxing music aapko Sunni chahiye Kam awaaz me,!
4 - to dosto apko morning me black coffee bhi Pina chahiye, morning me dudh ke product se bache , dosto ek aur baat agr apko trade lene me dar lag raha hai to 2 minute ke liye washroom Jaa ke aa jaaye aapko Susu aaye yaa Naa aaye ,
5 - dosto trade karne se pahle chair 💺 ka dhyan rakhe wo kitni comfortable hai agr nahi hai to kisi asi jagh baithe jaha apko aanand ki anubhuti hoti ho , bas ek baat ka dhyan rakhe ek trader ko stress nahi lena zor zabardasti nahi karna or hamesha khush or frankly rahna mummy papa ka kehna mano ya mat maano par unko paise zarur Dena , aur dete rehna , kyu ki jab aap pahli baar trading se paise nikal kar ghar me doge to apki psychology automatic sahi ho jaygi par apko har 3 moth me unhe paise Dene honge chahe wo 1k hi kyu Naa ho par Dena hoga ,. Jinke mummy papa nahi hai wo mujhe de sakta hai happy 😁😁
Hello I'm sorry man
So I'm always sorry mod
On 😉😉
Yah bate apko koi nahi batayga ek new
Trader ko Roz yah follow karna hai

